Saturday, December 17, 2011

Tum ne baarishon ko mehz barste dekha hai

Tum ne baarishon ko mehz barste dekha hai
main ne aksar barishon ko kuch kehte suntey dekha hai,

Tum dekhte ho barishon ki jal thal her saal,
mene barsat ko barhaa palkon pe machalte dekha hai,

Kese mangun barstaa saawan apne RABB se??
in ankhon ne bastion ko saawan mei ujarte dekha hai,

Seekh gay hum barishon ko apne undar utarne ka fun,
or phir sab ne hamen har pal hr dum hanste dekha hai...!

Kabhi Aanso Chupa Chupa Ke Rooey

Kabhi Aanso Chupa Chupa Ke Rooey,
Kabhi Dastan-E-Gum Suna Ke Rooey,

Raat Katti Hai Intezar-E-Yaar Main,
Hum Raat Bhar Taroon Ko Jaga Jaga Ke Rooey,

Phir Woh Na Aay Raat Ka Wada Kar Ke,
Hum Tamaam Raat Shama Jala Jala Ke Rooey,

Aaj Raat Un k Aaney Ki Umeed The Humain,
Woh Na Aay Hum Ghar Ko Saja Saja Ke Rooey,

Suna Hai Dua Se Hoti Hai Muraad Dil Ki Poori,
Hum Sari Raat Haath Utha Utha Ke Rooey!!!

Thursday, March 11, 2010

Burhan9052: Kitabo ke panne palat ke Sonchte hu

Kitabo ke panne palat ke Sonchta hu, Yun palat jaye meri Zindagi To Kya baat hai
Tamanna jo puri Ho khwaab mein, Wo Haqikat ban jaye To kya baat hai
Kuch Log matlab ke Liye dhundte hai mujhe, Bin matlab koi aaye To kya baat hai
katl kar ke to sab le Jayenge Dil mera, Koi bato Se le jaye To kya baat hai
jo Sharifo Ki sharafat me baat na Ho,Wo Ek Sharabi keh jaye to kya baat hai,
Zinda rehne Tak to khushi dunga sab ko,kisi Ko meri maut pe khushi mil jaye To kya baat hai.

Tuesday, March 9, 2010

JAGDISH DHOLWANI

"Behtar Se khub, Khub Se Badhkar Talash Kar
Dariiya Agar Mile to samundar Talash kar
Pathar Se Yaha tut Jate hai Shishe Aksar
Shishe Se Tut jaye Wo pathar Talash kar"



~~~~~~~(JAGDISH DHOLWANI)~~~~~~~

Tuesday, February 23, 2010

Tham lena hath kabhi jo piche chuth jau

Tham lena hath kabhi jo piche chuth jau
Mana lena mujhe kabhi jo ruth jau
Mein nasamjh hi sahi,par Ek tara hu
Jo Aap ki har ek aarzu ke liye tut jau

Thursday, February 18, 2010

Khudaa Humko Aisee Khudaayee Na De

Khudaa Humko Aisee Khudaayee Na De
Ke Apne Siwa Kuchch Dikhaayee Na De
Khatawaar Samjhegee Duniyaan Tujhe
Ke Itnee Ziyaada Safaayee Na De

Hanso Aaj Itnaa Ke Is Shor Mein
Sada Siskiyon Ki Sunaayee Na De
Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahot
Kalam Cheen Le Roshnaayee Na De
Khuda Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahe Saamne Aur Dikhayee Na De

Thursday, February 4, 2010

Aap khamosh khamosh se lagte ho

Aap khamosh khamosh se lagte ho
koi tarkeeb batao manane ki
mein zindagi girvi rakh sakta hu
Aap kimat batao muskurane ki